Hindi Me Help के Founder का Interview

जैसा कि आप सभी जानते है कि हम लगभग सभी Senior Bloggers का Interview करते है तो आज इस पोस्ट में आपके लिए एक बहुत ही प्रसिद्ध Blogger Hindi Me Help के Founder Rohit Mewada का Interview लाये है।

पिछले Interview Post की तरह इस पोस्ट में भी हम Rohit Mewada जी से  Interview में पूछे गए प्रश्नों और उत्तर को जानेगे।

वैसे तो Hindi Me Help Blog और इसके founder Rohit जी को सभी जानते है लेकिन यदि आप blogging की दुनिया मे नए है तो आपको बता दी कि Top Hindi Blogs में से एक blog Hindi Me Help है। Hindi Me help Blog पर Earn Money, Bloging, Internet, Computer आदि से सम्बंधित जानकरी शेयर की जाती है।

Hindi Me Help Blog के जल्दी आगे बढ़ने में Rohit जी की मेहनत और लोगो की मदद करने परिणाम है।

Hindi Me Help Blog के Ranking आज दिनांक: 14/05/2018 को निम्नानुसार है।

Alexa Ranking (India): 44,708

Domain Authority: 25

Page Authority: 342

Hindi Me Help Blog के बारे में अधिक जानकरी के लिए आप Hindi Me Help Visit कर सकते हैं।

चलिए अब नीचे HindiMehelp के निर्माता Rohit Mewada जी से पूछे गए प्रश्न और उत्तर को जानते है।

Hindi Me Help Blog Ke Founder Rohit Mewada Ka Interview

वैसे तो Hindi Me Help के Founder Rohit जी से पूछने के लिए बहुत कुछ था लेकिन समय के आभाव की वजह से सिर्फ 20 महत्वपूर्ण प्रश्न पूछे गए है।

Rohit जी ने सभी प्रश्नों के उत्तर बहुत अच्छे तरीके से दिए है जो bloggers के लिए मददगार साबित हो गए।

हमारे पाठको को अपने बारे में और ब्लॉग के बारे मे संक्षिप्त में बताए?

Mera Naam Rohit Mewada hai, or HindiMeHelp.com ka founder hu.

Technology or Blogging me Interest hone ke karan mene ye Blog start kiya tha.

Jispar me Hinglish me Information share karta hu.

आपकी Blogging कैसे वातावरण में करते हैं?

Interesting Question 🙂 Blogging me kis mahol me karta hu.

Mahol mere liye bhut importance rakhta hai, Q ki Blogging aesa kaam hai agar mann laga kar nahi kare to sahi result milna bhut muskil hota hai.

Isi karan me apne Ghar se Dur rheta hu jaha mene apna Office setup kar rakha hai.

Jaha mujhe koi disturb karne wala nahi hota or naa kisi dusri chij ki us time tension hoti hai.

Internet jo bhut jaruri hai, issi liye Broadband ke 2 connection lagwa rakhe hai taki kabhi Internet ki problem naa ho.

Ek Broadband band ho fir bhi kaam chalta rahe.

Blogging के लिए किस प्रकार समय को बांटते है। समय सारणी शेयर करें?

Me ek Full Time Blogger hu matlab mera main kaam blogging hi hai.

Mera jo time hai work ka wo subha 10 baje se shaam 5 baje tak ka hai.

Isme bich me ek ghante ka break hai.

Kal kya kaam karna hai uski list me ek din phele sone jada hu tab bana leta hu.

Jisse muje subha uth kar ye nahi sochna padta ki aaj kya kya karna hai.

Jo sabse jaruri kaam hota hai din ka usko phele karta hu taki me apne time ka jada se jada sahi use kar pau.

आप Traffic बढ़ाने के लिए क्या क्या मुख्य रूप से करते हैं?

Mera Traffic lane ka sirf ek hi main focus rheta hai SEO.

Usme bhi On Page SEO par me jada work karta hu, jisse mera 60-70% kaam ho jata hai.

Baki Social sites par share karna normal hai.

Jab post publish hoti hai to share kar deta hu.

Par mera usse traffic lane ka koi focus nahi rheta.

Blogging में सबसे कठिन कार्य क्या है और उसे कैसे आसानी से किया जा सकता है?

Kathin kaam wo hota hai, jo hame naa aata ho.

Ya fir jis kam me ham ache nahi hote wo kaam hamare liye kathin hota hai.

Meri baat karu to muje Coding nahi aati or naa mene sikhne ki kosis ki.

Par uss baja se bhut war aesa ho jata hai site me kahi kuch error aa jati hai.

Par me jada tension naa lete hue Developer ko hire kar leta hu.

Wese me yaha yahi suggest karuga ki jis bhi kaam ko kare, khud se kare.

Kaam sikhne ki kosis kare.

Aesa nahi ki kisi or se kah kah kar apna kaam karaye.

Q ki aese me jitni war bhi aapko wo problem aayegi aapko kisi or ki help leni padegi.

आप पाठको को कितना समय देते है और कैसे वह आपके संपर्क कर सकते है?

Time jo ki kaas 24 hours se jada hota hamare pass q ki Time ki bhut jada kami mhesus hoti hai.

Par fir bhi me apni HMH site ke liye time nikalta hi hu.

Daily ke kam se kam 50 comments ka detail me reply karta hu.

Or agar koi mujse direct contact karna chahe to wo mere email par kar sakte hai.

Admin@RohitMewada.com

आपके पसंदीदा blogs कौनसे है और आप उन blogs को क्यो पसन्द करते हैं?

Mere pasindida Blog wo hai, jab muje kuch janna hota hai or me google me search karke unpar jao or jo muje janna tha wo waha detail me mil jaye.

Kahne ka matlab hai, me kisi ek Blog ko pasand nahi karta.

Or jitne bhi blog muje pasand aate hai me unko subscribe kar leta hu.

Taki jab bhi unki new post aaye to muje uski notification mil jaye.

Blogging और Youtube में से कौनसा काम बेहतर है और आपको बेहतर क्यो लगता है।

Blogging or Youtube dono alag alag hai.

Sirf inme samnta hai to wo ye ki dono Internet category me aate hai.

Wese mene Blogging ya Youtube konsa best hai uske ware me HMH.pe post dali hai.

Fir bhi agar short me batao to Jisme aap badiya se apna kaam kar paye wo aapke liye best hai.

Jese agar aap Video me achi se bol kar agar kuch samja sakte hai to youtube aapke liye badiya hai.

Par agar aap likh kar achi se samja sakte hai or aapko likhna pasand hai to Blog aapke liye jada acha hai.

Blogging part time करनी चाहिए या full time करनी चाहिए और क्यों?

Me ek Full Time Blogger hu.. par me ye bilkul nahi chahuga ki agar Blogging kisi ka passion nahi hai, to wo isko full time de.

Matlab unko blogging me maja nahi aata or jo kuch bhi wo usse chate hai.

Wo unko nahi milta jab tak isko part-time hi rakhna tikh hai.

Kuch time Blogging karne ke baad samaj aa jayega ki blogging aapke liye hai ya nahi, or maja aa raha hai ke nahi.

Uske baad aasani se select kar sakte hai ki Full time hi blogging kare ya kuch dusra kaam bhi dekhe.

Blogging में सफल होने के लिए किन-किन चीजों का ध्यान रखना जरूरी है।

Safal kisi bhi chij me hona ho to hame apna best to dena padta hai.

Uske sath Time, mhenat bhut jaruri hai.

Baat kare Blogging ki to ye jaruri hai:

  • SEO ka Basic Knowlage
  • Jis topic par Blog hai usme acha knowledge
  • Blogging ka sok
  • Blogging ke liye time
  • naya sikhne ki aadat, jab hi blog me kuch naya kar sakte hai.
  • Regularity
  • Dherya, q ki rato raat kisi ko success nahi milti.

Blogging करते समय कौन से काम हमारे blog को नुकसान पहुचते है?

Ye Question thoda clear nahi hai.

Agar aapka kahne ka matlab hai Blogging karte time hme kya nahi karna chaiye.

To iska simple sa answer hai, jo bhi kaam aap focus se mann laga kar karege usme jada acha result milne ki jada sambhanva rahegi.

To kosis kare jab Blogging kare to dusre sabhi kaam ko apne se dur rakhe.

Isme Social Network bhi samil hai.

Matlab aesa nahi post likh rahe hai or dusre tab me facebook open kar rakhi h.

Q ki usse focus ke sath kaam nahi ho payega.

आपके अनुसार Blogging में सफल होने के लिए कौन कौन से Blogs और websites को follow करना चाहिए।

Iss Question ka answer kisi blog ko follow karne se nahi hai.

Agar aapko success hona hai to aapko learning attitude rakhna hoga.

Matlab jab bhi kuch naya sikhne ko mile waha se sikhe.

To yese me jis bhi blog par aap jaye agar aap jesa content chate hai wesa uss blog par hai to aap usko jarur follow kare.

आपके जीवन मे आपकी सबसे बड़ी सफलता क्या है।

Mere Jiwan ki sabse badi safalta ki baat karu to wo HMH hai, Q ki jo mene socha tha ki isse unn logo ko faida hoga jo English nahi jante ya itni achi se nahi jante par wo bhi Internet par kuch karna chate hai. 

Or me issme bhut hadd tak success bhi raha hu, or ek Hindi Blogging community banane me safal raha hu.

Ye mere liye sabse badi safalta hai.

सभी के जीवन मे कोई न कोई असफलता होती है आपकी सबसे बड़ी असफलता क्या है।

Aasafalta bhut jaruri hai, Q ki unnhi se sikh kar ham strong bante hai or kuch bhut bada kar pate hai.

Wese meri aesi koi aasafalta to nahi hai jisko me itna yaad rakhu.

Par agar ek case ke ware me batao to starting me mene paise bachane ke chakkar me galat hosting kharid li thi.

Jiske karan meri site pura ek mahina din me 5-10 war down ho jati hai.

Jisse mera har trha se nuksan hi nuksan hua or naa me uske karan sahi se kaam kar paya.

क्या आप Blog पर sponserd post या reviews देते है यदि हां तो आपको कहा से paid post और Reviews  प्राप्त होते हैं।

Answer – Me wese Reviews to nahi karta.

Par sponsor post jaruri aati hai mere pass,jo direct mujse contact karte hai.

Iske liye simple jo hamara contact Us page hai wo sahi hona chaiye.

Mujse jitne bhi log contact karte hai wo ussi se karte hai.

आप ब्लॉग के द्वारा पैसे कमाने के लिए किन-किन तरीको का उपयोग करते हैं।

Paise kamane ke to bhut tarike hai.

Ek baar hamara blog ek brand ban jaye to fir to ye sochna nahi padta ki paise kaise kamayege.

hajaro raste khul jate hai.

Iske liye main hai ki apni ek achi chhavi banaye apne visitor ke samne or unka faida karane ki puri kosis kare.

mere main income source Adsense or Affiliate hai.. iske aalawa sponsor post or paid Backlinks bhi hai.

Blogging के अतिरिक्त आप किन तरीको से पैसे कमाते हैं।

Sabse jada Affiliate se kama sakte hai.

Par uske liye hame sahi audience ko sahi products sahi tarike se promote karna aana chaiye.

Taki wo hamare link se usko kharide or hame uska commission mile.

किन लोगों को Blogging छोड़ देनी चाहिए और क्यो।

Jinko Blogging me interest nahi hai aur jo sirf dusro ko dekh kar rato raat success hona chate hai.

Unhe thoda sochna chaiye ki kya wo blogging karke sahi kar rahe hai ya apna time kharab kar rahe hai.

आपके अनुसार blogging सफल कब होते हैं।

Safalta ki definition sabke liye alag alag hoti hai.

Aur mere liye safalta jab hai, jab me Blogging me kuch karu.

Jisse kisi blogger ka kuch faida ho or wo mujse aakar kahe ki ye sab aapki baja se possible ho paya.

Wo mere liye sabse proud moment hota hai or lagta hai ki haa jo me kar raha hu wo sahi kar raha hu.

धन्यवाद

जरूर पढ़े : पिछले पेज पर हम Support Me India के Founder जुमेदीन खान और Achchi Advice के Founder राकेश जी का Interview कर चुके है उसे जरूर पढ़े।

अंत मे HTIPS, Rohit Mewada जी को बहुत बहुत धन्यवाद देते है जो उन्होंने Interview के प्रश्नों के उत्तर को HTIPS पर शेयर करने के permission दी।

आशा है Hindi Me Help blog के founder Rohit Mewada जी के द्वारा दिये गए जवाबो को पढ़कर आपको लाभ होगा।

यदि आपको Rohit जी से Blogging और Hindi me Help से सबंधित कोई भी प्रश्न है तो आप Comments में पूछ सकते है।

Rohit Mewada जी से संपर्क करने के लिए आप Hindi Me Help के Contact Us Page को देख सकते हैं।

यदि आपको post पंसद आती है तो अपने दूसरे Bloggers दोस्तो के साथ शेयर जरूर करें।

49 thoughts on “Hindi Me Help के Founder का Interview”

  1. Amazing post.thanks for sharing this article. i am truly motivated by you for blogging.
    thanks again

    Reply
  2. bahut hi interesting Question te Jinka rohit bhy nhe bahut ache answer diye. thanks for sharing This interview

    Reply
  3. ye personal experience bahut kam aata hai.. aur s se bahut kuch sikhne ko bhi milta hia… mai almots sabhi live chat ya Q&A me part leta h…. online 1 bar youtub pr bhi bhai ne mere sawa ka jawb dia tha live… m bhut khus hu,,… thanks you brooo ise sharek lie… gr8 wrk

    Reply
  4. एक और बेहतरीन पोस्ट वो भी एक बड़े ब्लॉगर के इंटरव्यू के साथ, वंदना जी आपका blog वाकई अच्छा काम कर रहा है और बात करे Hindimehelp की तो रोहित जी एक बेहतरीन और सुलझे हुए ब्लॉगर है. ये मेरा उनके blog पर पर्सनल experience रह चूका है.

    Reply
  5. aapne kafi acche tarike se in top blogger ka interview kiya hai .maine apni blogging ki suruaat rohit sir se hi ki thi ..
    maine Rohit sir aur Jumedin sir ko fallow karke apni site banayi thi …
    mere liye dono best blogger hai.kya
    aap mere blog ko dekh kar bata sakti hai ki iska degine thik hai ya phir kuch dikkat hai
    Site Name -Rojgarcareer.inf.o

    Reply
    • Hello sandeep,
      Jaisa ki hm sabhi jante hai sabhi ke blogs me kuch problem hoti hai
      Waise hi mene apke blog me ek problem dekhi hai.

      Apke blog posts me shuruaat me kuch adhik ads lgi hai jisse readers ko problem ho skti hai

      Aap shuruaat me km ads ka upyog kare.

      Reply
  6. Bahut hi badiya interview liya aap ne main sabhi baato ko bahut dhayan se padha aur sikha ki bina mehnat saflta nahi milti so thank you so much aur aise hi kaam karte rahe

    Reply
  7. Thanks #Htips mere ware me site par share karne ke liye.. Or muje iss layak samje ke liye ki me aapka blog ka hissa ban pao..

    Aapke sabal bhut hi interesting the jinka jabab dene me bhut maja aaya.. Ummid karte hai unse Bloggers ko naya jaanne ko bhi milega..

    Thanks

    Reply
    • Welcome Rohit sir
      आपके द्वारा दिये गए सभी जवाबो के जवाब बहुत अच्छे है जिनसे मुझे बहुत motivation मिला है।

      आप ऐसे ही सभी नए bloggers की मदद करते रहिए।

      HTIPS को interview की अनुमति देने और quetions और answers को Htips पर share करने की अनुमति देने के लिए बहुत बहुत धन्यवाद।

      Reply
    • rohit bhai meri website hindi langauage me hai mujhe adsense ke liye apply karne se pehle kaun kaun si chize kar leni chahiye ?

      currently, meri website pe 15 articles hain aur ion mag ki free theme use ki hai saare important pages bhi hain kya mai adsense ke liye apply kar du?

      Reply
  8. बहुत बड़िया …….रोहित जी का यह इंटरव्यू नये ब्लोगरो को बहुत कुछ सिखाएगा |……धन्यवाद

    Reply

Leave a Comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.